Ham tere shahar me aaye hain musafir ki tarah


Ham tere shahar may aye hain musafir ki tarah
Sirf ek bar mulaqat ka mauqa de de


Meri manzil hai kahan mera thikana hai kahan
Subah tak tujh se bicharakar mujhe jana hai kahan
Sochane ke liye ek rat ka mauqa de de


Apani ankhon may chupa rakhen hain juganu main ne
Apani palakon pe saja rakhe hain ansu main ne
Meri ankhon ko bhi barasat ka mauqa de de


Aj ki rat mera dard e muhabbat sun le
Kanp kanpate huye honthon ki shikayat sun le
Aj izhar e khayalat ka mauqa de de


Bhulana tha to ye iqarar kiya hi kyun tha
Bewafa tune mujhe pyar kiya hi kyun tha
Sirf do char sawalat ka mauqa de de


Qaiser Ul Jafri

Comments