Chashm Hairat Pe koi Darr Nahi Khulne Deta Aankh Khul Jaye Toh Manzar Nahi Khulne Deta


Chashm Hairat Pe koi Darr Nahi Khulne Deta
Aankh Khul Jaye Toh Manzar Nahi Khulne Deta


Ek kwahish Mujhe Pasti Se Uthati Hai Magar
Ek Dar Hai Jo Mere Par Nahi Khulne Deta


Hath ki Saari Lakeerein Hain Jazeeroun Se Bhari
Aur Jazeeroun Ko Samander Nahi Khulne Deta


Taa Naa Khul Jaye Koi Nuqs Pass-E-Naqshgiri
Aaiyena Aks Ke Ander Nahi Khulne Deta


Koun Jaane Kise Maloom Haqeeqat Kya Hai
Bhed Apna Woh Kisi Par Nahi Khulne Deta


Ghair Leta Hai Muheet-E-Gham Laahasil Me
Phir Koi Raasta Bahar Nahi Khulne Deta


Phair Deta Hai Kabhi Mouj-Balaa Qaiz ka Ruqq
Aur Kabhi Aag Ka Johar Nahi Khulne Deta


Dekh Par Qaak Nasheenoun Ke Khudaiye Dawe
Tu Agar Daftar-E-Mehshar Nahi Khulne Deta

Comments