Haal-e-dil sunaana nahi aata


Yun khafa na ho hamen manaana nahi aata
tujhse door hokar fir hamen muskurana nahi aata


tum chaand ho mere tumhe dekha hi karta hun
jab roobaru hote ho haal-e-dil sunaana nahi aata


ek tere pyaar ki daulat se jahaan sara kharid lun
bass tu anmol hai jiski keemat chukaana nahi aata


hum ek zarra hain, tumhari roshni mein chamkte hain
jo tum muh fer lo fir hamen jagmagaana nahi aata


ek tera dar jabse aaya hai meri raah-guzar mein
bhul baitha hun sab raste kahin aana kahin jaana nahi aata...

Comments